Yeh Zindagi
Kaisi hai yeh zindagi
Dil tootne par roti hai
Phir kisi aur ki love story dekh ke muskurati hai zindagi
Aansuo se ladti hai
Taqleefon ke sammne sar uthaati hai
Lad lad ke jeet ki khushi manati hai zindagi
Jalti hai, jalatii hai
Ek dusre ke sahare aage badhti jaati hai
Kabhi kaandha de, to kabhi sahara lekar jeeti hai zindagi
Baccho ki khushi mein
Buzurgo ki aankho mein
Jawaan dilon ke sapno me
Chalakti hai, jhalakti hai zindagi
Khud ko manati, khud ko satati,
Kabhi dhokha dekar, toh kabhi jaan lekar
Kabhi khudgarz aur kabhi kadvi
Aur Kabhi shahidon ka balidaan leti
Jeene ki khatir ladti hai yeh zindagi
Girti, ladhkhadaati, par Kabhi na rukti
Hardam jo chalti, usika naam zindagi.
Wednesday, January 14, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)